KUNDALINI CHAKRA VS ZERO THOUGHT STATE OF MIND in hindi
Spiritual yaniki adhyatmiktaa hai ek alag hi duniya jisko ham laukik or parlaukik shaktionse jodkar dekhtehain. Darsal aajtak shayad hi koi aisa byakti ho jo parlok ko dekhaa hai. Magar science iss baat ko ekdam se hi nakaardetahai. Kyunki science insab cheezonpar yakin karta hi nehi. Phir bhi bigyan ajj tak toh spiritual sectors par apnaa saaraa kosis nakamyaab raha hai. Agara sciecne spiritual topics par kuch diyaahai toh woh sirf or sirf theoy hai jo puritarha sach hai hi nehi. Kabhi na kabhi kahin na kahin app jaroor Kuch term (Zero Thoughts, Sub-conscious mind, Kundalini chakra) Sunehonge. Kya jantehain ki yeh jo terms hai isskaamatlab kya hai ? Kyun in terms ke phiche scientist pagal hain. Maane yaa naamaane sachai to yeh hai ki bigyan hamare arya culture se hi theories ko uthaakar modern tarikese books par paste kiyahai bas. Isske siwa or kuch nehi kiyaa.
Pehle Zantehain ki Yakinan scientist ko pagal kardenewali term Zeo Thoughts kya hai ?
Zero thoughts yaniki apni imaginations ko ekdam sunya kardenaa. app chaahe jage yaafir sojaaye, magar appka dimaag yaniki brain kabhi bhi sochnaa band nehi karta hai. Magar yeh baat sach hai ki yeh jo zero thought hai darasal sach hai. Kabhi baithe baithe soche hain ki ham kyun sochte hain ? Kya ham iss soch shakti ko khatam nehi karsakte ? Agar sochne ka shakti yaniki thinking power ko khatam kardiya to kya hoga ?
Inn saare sawalonka zabab ajj iss article Kundalini chakra vs Zero thoughts article par miljayega.
Imagination / Thoughts yaniki soch ko ham kabhi khatam nehi karsakte. Kyunki agar thouths power khatam hogaya to ham or app directly comma par chalejayenge. Nahi kuch samaj payenge nahi kuch janpayenge. Yaniki socha kabhi khatam nehi hosakta.
Dhyan den soch ko khatam nehi kiyajasakta magar kuch time eliye rok ke rakhajasakta hai. Brain pehle soch ne keliye choddiya jata hai. Soch soch kar jab brain thak jatahai tab nind aajata hai. Magar puri tahra nind nehi. Yaniki nind or chetna ke bich jo space hota hai usiko hi ham kehte hai zero thoughts. Yeh aam admi nehi karsakta . toh kaun kar sakta hai zero thought ? monks, Sadhu or Mustik Yog ko janewale hi karsakte hain yeh zero thought.
Zero thought ka experience kaisa hota hai ?
Zero thought dimag ka ek level hai. Uss level tak jaanekeliye koibhi amm aadmi ko Mustik yog me prabinn honahoga. Tabhi hi woh apna tan, man or gyan ko control karsakega. Yeh nehi ki dimag zero tougth level par pahunchjaneke baad pura saant hojayega. Iss baat ko agar gehrai se soche toh sirf hamara tan, man or gyan ki thoughts ko hi band kardiyajayega. Magar experience tabhi bhi battar rahega. To yahan mann me question aatahoga ki isska experience kaisa hai ? Toh janab maaf kijiye !! isska experience kaisa hai yeh to mai nehi janta. Kyunki me applogonki tarha ek aam admi hoon. Joh kitab or dusonki gyan, feelings ko apni language main hi just inormation keliye provide karta hoon.
Ek mulakat Monk se hua tha
Eka baar mera mulakat ek monk se huatha, jisko main apni question jo halchal macharahatha mannme ussko pucha. Monk ne toh pehle mujhe answer denese inkar kardiya. magar jab mai unke peer pakad ar binti kiya toh unhone taras khaakar shayad hi mujhe kuch baaten batae. jo sampurn zero thoughts ko samajhnekeliye o kaafi nehi thaa but basic jankari keliye kaafi thaa. Uss monk ne mujhe bataya ki pehle meditation ko apni sastr banao. Kyunki jab jab ham meditation kartehain ham khudki power ko pehchante hain. Yeh hamari andar kai saare characters ko janm deta hai or maarta bhi hai jisko science ki bhasa main multi personality disorder kehtehain. Kher disorder to tabhi kahenge jab aadmi apni andar honewale multi personality characters ko pehchan nehi paayega. yaniki woh khu kya kar raha hai kuch bhi naahi samaj payega or naahi jaanpayega !!
Toh ham jab hamari andar hi andar khudki bhalaaonke mutabik multi personalities se milte hain. jaise ki krodh, Lov, Moh, pyar, Taras, Ahamkar. Baastav me yeh jo feelings hai yehi feelings hi hamare internal behavious ko create kartehain jiskechalte brain in saare personalities ki order ko speedly calculate nehi karpatahai. Jiske chalte kabhikabhi ham ajibogarib behave kartehain. jaise kisiki Maut ke baaremen sun kar thoda muskurana, chotichoti baatonpar immediate gussa karna, chotichoti baatonpar jhagra karnepar utar aana, jyadatar logonse argue karna etc.
Agar issabko control karna hai toh pehle meditation karna hoga. Meditation yaniki dhyan joh pehle pehle appka thoughts yaniki imaginations ko itna tibra kardega ki sirf 5 minute main hi app khudki daily life me honewale events ko dekhpaoge. Kahan kahan app galty karteho or kahan kahan app sahi karteho isska pata chaljata hai. agar jab jab meditation ki time badhtichalijati hai tab dhire dhire imagination kam hone lagte hain. Dhyan den uss monks ne yeh kahatha ki pehle phele meditation kartesamay imaginations ko jabardasti roknekaa bhul bilkul bhi mat karna. Kyunki usswaqt hamara brain belagam godeke jaisa hotahai. Jisko kaabu karnekeliye time lagta hai. to aise hi dhiredhire imaginations kam hojata hai or meditation time badhjata hai.
Meditation time par app apni multi personalities ki bhi apni andar maardete ho jisko pratyakshya vijay kahajata hai. Tab app brahmacharya ki pehle level ko paas karjateho. Usske baad ek aisa time aata hai jab ek ek karke saare multi personalities ko marneke baad imaginations ko control karna sikhjateho. Yahinpar hi aap apni imagination korokke rakhsakte ho. Zisko zero thoughts level kahajata hai.
Yeh to raha kuch information jo Zero thoughts kebaaremain abb chaliye jante hain KUNDALINI CHAKRA KE BAREMEN.
KUNDALINI CHAKRA - multi spiritual experiences
Tantra ke mutabik hamare sarir par 7 main points hain joh internal hai. In 7 main points joh sharir par shakti kaa sanjamta kartahain or shaki ki parichalna karte hain. jiskechalte ham jinda rehte hain, kaari activities karsakte hain. inn 7 kundalini chakra kaa naam hai-
- MULADHAR CHAKRA (LAM)
- SWADHISTTANA CHAKRA (VAM)
- MANIPURA CHAKRA (RAM)
- ANAHATA CHAKRA (YAM)
- VISUDHA CHAKRA (HAM)
- AJNA CHAKRA (OMM)
- SAHASRARA CHAKRA (SILENCE)
hAMARE SARIR KE ANDAR JO INTERNAL KUNDALINI CHAKRA HAIN UNKO JAGRIT KARNA ITNA AASAAN NEHI. kYUNKI zERO THOUGHTS PAR TO SIRF THOUGHTS KO CONTROL KARNA HAI. Magar Kundalini shakti kojagrit ekbaar kaliya tofir aap soch nehi shakte ki kaise kaise super natural powers appke muthime hoga. Wese toh Kundalini chakra ke baaremain kahajata hai ki yeh kuch bises mantra chants or bahat saare tantra practices ke baad hi active hopata hai. 2014 main National geographic channel ne ek documentary Shaolin ke buddhist monks ke upar banarahethe. Tabhi bahat request ke baad sabse bujurg buddhist monk ne research eliye taiyar. hue. Unhone apni kundalini shakti ke zaiye lagbhag lagbhag 4 feet uchai taq hawame hi upar uthgaye or hawa me hi without any support 13 minut taq meditate position par rahe. Chahe app spiritual power/ ivine power ko kitna bhi nakaro magar bharat ki prachinta par joh shakti or secret theories chupi hai woh aajke jamaneke technology or science se behat advance hai. Jo sayad hi kabhi hamara science uss technology taq pahunchpaayega.
Iss baat ko ek real examples ke saath taulke dekhte hain. Aajse lagbhag lagbhag 5000 year pehle Marasi Varadwaj ne ek grantha lekhatha jiska naam hai DWIP RATNAVALI . Yeh ek chotasa satra tha joh usswakt bibhinn dwiponpar honewali kai alaukik chizonke bakhya kiyethe. Yeh vaidik language par adharit hain. Unhone iss granth ko likhneke baad ek caves yaniki gufa me secretly rakhdiyatha. 5000 saal baad woh granth hamare researchers ko mila. Haalaaki woh lagvag 75% nast hogayahai.
Magar yahan sochnewali baat yeh hai ki akhir kaise rishi bharadwaj ne uss granth ko 4500 year tak surakhit rehnekaa upay nikalatha ? Kuch log ahenge ki woh cave par rehneke wajah se itne year tak surakhsit raha. Magar kya yeh jo soch rahe hain baat yeh sach hai ? Agar app aise mat rakhneka soch rahen hain to shayad hi appka dimag ghaas charne gayahai. Kyunki uss jamaneka technology amare ug se ittna advance tha ki ham soch bhi nehi sakte. To chaliye maan lete hain appka baat sahi o, magar ajj ka advance se advance technoloy ko aajmaake dekhiye. Kya yeh sach me 5000 saal taq surakshit rahega ?