Breaking News

12 main point~puri jagannath temple history in hinglish

12 main puri Jagannath temple history: Biswa shakti swarup sabhi dharm samanwaya devta jinko maanaa jaata hai woh hai sree jagannath. Jinki mandir ka itihas jitna purana hai utna hi rahasyamay bhi hai. Isiliye aaj apkeliye ham lekar ayen hain kuch 12 main points lekar. jinme Mention kiyajayega Puri Jagannath Temple History wo bhi hinglish language in. Akhil biswa brahmand nayak purusotam shree jagannath sarba prachin devta odisha ki hain. Asamanya rahasya ki gunjais kan kan main shree kshetra par abhaasit hota hai. Isiliye hhi to ved, puran upnisad jinko samjhaa nehi payen woh hai jagannath. Jinso saare odisha baasi Kalia ki naam se pukarte hain. Or to or Daru brahma ke naam se Kala thakur yaniki kalia ko janajata hai. 

12 Main Puri Jagannath Temple History


Daru brahma shree jagannath ki rahasya or alaukiktaa aspast hai. Kyunki Rahasyamaye purus yaniki kalia thakur ki rahasya devta bhi bhed nehi sakte. Isiliye hi unko dibya brahma swarup kaha jata hai. Chaliye ab jante hain kuch main points of puri jagannath temple history ke bare main.

Sarba Rahasyam purusotamasya deboh na jaananti kutah manusyaah. Arthat jinki lila or mahima ko devta tak samajh nehi sakte insaan kya hai ?

1. B.C 5000 purb mahodadhi tattasthit mahavedi. Mahadaru shree vishnnu ko chaturdha murti main paribartit karke jo pujte the woh hai rajarshri Indradyumna. Lekina Sirf 1000 saal pehle hi shree mandir ka nirman honeki jikr researchers karte hain. Jab ki yeh  purano or upanisaddon ki aadhar par 5000 saal pehle banayi gayi thi. h
Haaaalaaki today's researchers ki yeh manna hai ki A.D 1196 year pe Raja anag bheem dev ke dwara yeh manddir banayi gayi thi. Jiska jikr Stirling Saheeb neh apni likhit pustak "Orissa History:" main karte hain. Lekin Madala Panji jo Jagannath mandir ka Itihas par adharit tipni  hai usmain likha hai ko Som vansi Raja Yajati Keshri ne Puri jagannath Mndir ko banaya tha. Iska matlab yeh hai ki aaj tak yeh tai nehi hopaya ki akhir kaun hai puri shree mandir ki nirmata. Raja Indradyumna, Raja Anaga Bheem Dev yafir Raja Yajati keshri.

2. Jab Odisha main Yaban vansi raaj karte the uss daur par Shree jagannath ko Yaban vansi Sonepur district ki Gopali par abasthaapit kiya gaya thaa. Par Soma vansi Raja Yajati Keshri ne Yabanonko paraast karneke baad firse puri shree mandir ke andar sthaapit kiya. Isiliye hi Raja Yajati keshri ko Second Indradyumna ki naam se itihas pristhaa par amar kardiyagaya..

3. Pratap shali raja Ananga bheem dev rajya aaykar se adha bhaag Shree mandir ki ritiniti keliye kharch kiya karte the.

4. Ananga Bheem dev jagannnath ko purnang banakar murtionko ratna sinhasan par bije karbayathaa.

5. Aitihasik tathyonpar adharit theory ko dekhen to Dev pratistha karke prachur matra ki dhan byay karke "Hiranyagarbha" namak Mahadan Sampan kark khudka ang-sudhi kiya tha. Joh Tamr sasan par ullekh hai.

6. Anang bhi dev ki jaiye se hi yeh mandir sampurn hopaya tha.

7. Jagannath pehle Nil madhav ke naam se puje jatethe. Joh Sabar jaati the. Sabar yaniki jangal par apni adhipatya bananewalee. Basically Sabar ka matlab hai joh sab yaniki lass par apni dabdaba banasake. Abhi ke jamane main yeh sabar jaatiko jagannath ki bansdhar bolajata hai. Ajjkal Puri main yeh log Daita Pati ke naam se jana jate hain.

8. Dekhajaye toh Sanatan dharm ka kendra vedant philosophy ko manajata  hai. Or Vedant philosophy jinpar adharit hai unko kaha jata hai "BRAHM". Yeh jankar apko hairani hoga ki sab dharm Jagannath ko hi Brahm mante hain.

9. Shree sankaracharya odisha agman ki samay par purusotam yaniki puri main apni math sthapana kiyatha. Joh 9th century ka hai.

10. Takriwan 6th century main Buddhism ka vajrayan sunya purus ki upasana karte the. joh us daur main bahat hi trend par thaa. Vajrayani jagannath ko sunya purus mante hain. Isiliye hi jagannath  ko tantra ke devta bhi kaha jata hai.. Iska matlab yeh hai Vajrayan ka suruwat odisha se hi hua hai.

11. Satya Yug main Surya vansi raja Indradyumna the unko puran o granthon main Brahma ki pancham santan bataya gaya hai.

12. Shaktism ke anusaar pratima apekhhya Yantra ko mukhya manajata hai. Isiliye hi Ratna sinhasan ke upar Yantra ka chitra ankan kkiyagaya hai. 

Yeh the kuch 12 main points joh puri temple history se judi mahatwapurna information hain. Joh apko kahin or dekheno kabhi bhi nehi milegaa. Agar apko yeh post acha laga toh please apne apne whatsapp, facebook, or linkdin pe share kijiyega jaroor. Apka pyar hamari iss website par banaye rakhe. Yehi hamara safalta hoga. Thank you.

No comments

Comment Here