Breaking News

Bhagwat katha in hindi~ISKON Bhubaneswar

 Bhagwat katha in hindi

Bhagwat katha in hindi lets start. Mai kuch nehi hoon mai koi nehi hoon. Hoon agar insan phir bhi shri hari ki ans hoon.

Bhagwat katha in hindi
Bhagwat katha in hindi


Omm Namo Bhagabate Vasudebay

Chaliye thoda prakas daal lete hain vasudev krishke upar. Bhagwan Shri Hari hi shri krishn hai. Yeh sab jante hain. Kai pidhi aayi aur gayi./ Kiikeliye weh nandlal hai toh kisikeliye krishn kanheiya. Kisi keliye basudev hai to kisikeliye madhusuda. Shri hari vishnuke sampurn 24 avtar hain. JKisi bhi avtar main bhagwan khudko param brahm nehi kaha hai. Magar kurukshetra mahabharat bhumi upar khade hokar apne sina taan kar khudko parmbrahm kehne wale shri hari hain shri krishn. 

Read : Odia shayari

Jinhone moksh ki kai saare marg ke baad aise marg dikhlaye naa bhutho naa bhabisyo yaniki na atit naa bhabisya main koi dikhaya hai na dikha payega. Woh marg tha bhakti ki marg. Mahabharat par varn byabastha dridh tha. Isiliye jati, dharm, varn, aur ling ki abhibhedna nakarte hue bhakti ko mukti ka aisa jariya banaye koi abhisap nehi koi dand, jukri sam, dam, bhed nehi joh jeev ko iss mrityulok mein dhakelke rakhsake. Smaran matrena jibo gati bibidhah. Yaniki smaran matrake hi prani bibhin yoni mein janm lejata hai.Aur har baar janm mriyu ki pida bhugatta hai.


Sansar mein mukti ki marg hai. Isi marg ko yog kaha jata hai. Yog yaniki sanjojna. Arthat praniko mukti ke sath joh sanyog kare use kehte hain yog. Yeh yog kitne prakar ke hote hain? Inki prabhab kaisa hota hai? Inka parinam kya kya hota hai yeh sab bhagwan madhab hame batate hain gita ke madhyam se.  Agar app gita saar samajhgaye to achi baat hai. Waise to market main bahat saare gita pustikayen milti hai. Magar weh sab apko apki laksh se bhatkla sakte hain. Isiliye ham suggest karte hain ki app bhakt siromani guru sresth shri lila prabhu pad jee dwara likhit bhagawat gita padhe. Isise apke andar ki bhakti jagrit hogi. Aur hamesa 16 maala hare krishna maha amtr japte rahiye. Prabhu madusudan hame kin kin yog kai bare mein siksha dete hain weh niche diyagaya hai.


  1. Sankhya yog
  2. Karma yog
  3. Gyan yog
  4. Karma Sanyas yog
  5. Dhyana yog
  6. Gyan bigyan yog
  7. Akshyar Brahm yog
  8. Raj vidya raj guhya yog
  9. Bibhuti yog
  10. Vishwarup Darsha Yog
  11. Bhakti yog
  12. Kshetra kshetragya bibhag yog
  13. Guna trayo bibhag yog
  14. Purusotam yog
  15. Daibaasur sampad bibhag yog
  16. Shradhatray bibhag yog
  17. Moksh Yog

Bhagwat gita kya hai?

Kurukshetra dharm yudh bhumi par jab parth apne sage sambandhionko dekhte hain toh hairan rehjate hain. Inke pitamah, unke gurru, unke bhai, unke guru bhai, sehpathi aur najane kitne sambandhi. Yeh dekhkar unke hathonse dhanus nniche girjata hai. Apne mastak par hath liye baithkar bolte hain keshav yeh kaisi maya hai? Yahan kurukshetr par joh mere samne khade hain unke sath mera rishta janmonse hai karmonse hai. 


Apne bachpan ki baat yaad karke parth rathke upar baith jate hain. Unman chintamagn hokar sochte hain. Aue yudh yahin par rokliya jaye aise sochte hain. Unke haath kampne lagta hai, bisadse man swasrudh houthta hai. Aise paristhiti mein jitne prakar ke dharmik yukti aur sastr samat bani hai unke prayog karke yudh taaldeneki kosih part karte hain. Magar bhagwasn madhusudan unko jiban ka sachai, karm ka sachai, janm ka sachai aur sambandh ki sachai ke upar prakas dalte hhain. Wohi prakas ko ham bolte hain bhagwat gita. Joh jeev ko trigun se upar uthata hai. Agyan ki andhkar se gyan ki aur rasta dikhata hai. Aur akhri mein janm mrityu se chutakar shri hari ki charan tak pahunchata hai. Next post par hum charcha karenge kaise bhagwat katha ka shuruwat hota hai kurukshetra par with slok.

1 comment:

Comment Here